Kanz e Aza

Mere Bhaiya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Haider Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

gir gayi laash pe behen aa ke

mere bahiya hussain uth jao

meri dunya ujad gayi bhaiya

kahin zainab ne kaha ghash kha ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


keh rahi thi ye tadap ke zainab

kis tarha aap ka chupaun tan

kaash chadar mere sar pe hoti

aap ko bhai mai de deti kafan

so rahe ho behen ko tadpake

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


so rahe ho kyun jalti reti par

aankh kholo mujhe dekho uth kar

hai rasan haath mein khula hai sar

mere sar pe nahi baaqi chadar

kaun chadar udhaye ab aa ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


khoon mein hogayi wo tar dekho

jaan basti thi aap ki jis mein

wo sawari nahi rahi bhaiya

ab sakina safar kare kis mein

wo taraayi pe so gaya jaa ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


aisi haalat mein chod ke tum ko

kaise dil ko sukoon aayega

bekafan khaak pe tera laasha

chod ke shimr chala jayega

mai chali shaam ko ye gham kha ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


maine maqtal mein ye manzar dekha

rayza rayza hua laasha tera

kaise tum ko mai sameintun bhaiya

itni bebas hai tumhari behna

has rahe hai layeen sitam dhaa ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


tapte sehra ki jalti reti par

chod kar laash ko chali khwahar

laash ko dekhti thi mud mud kar

aur kehti thi ye zainab ro kar

ab galay hum ko laga lo aake

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...


laashe be sar se ye sada aayi

rakhna apna khayaal maajayi

sun ke hyder rehaan ye bibi

apne bhai se ro ke farmeini

shaam jaati hoo thokarein kha ke

mere bhaiya hussain uth jao

gir gayi laash pe...