Kanz e Aza

Qatl Abid Shaam

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Haider Sultanpuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

syed zaada syed e sajjad shaam ka bazaar


sar barehna dekh ke maaon ko khoon rota raha

qatl abid shaam ke har mod pe hota raha


berida binte payambar kaise guzri shaam se

baaghi baaghi ki sada kyun aayi balwe aam se

hurmate deen berida thi shaam kyun sota raha

qatl abid shaam ke...


gurbate sajjad pe roti thi keh ke bediyan

syed e sajjad ki ghairat karun kaise bayan

sar jhukaye shaam ke bazaar mein rota raha

qatl abid shaam ke...


qaatil e akbar ko laila dekh kar kehne lagi

kya bigada tha mere dilbar ne tera ay shaqi

maajra ye dekh ke ashkon se moo dhota raha

qatl abid shaam ke...


shaam ka bazaar dekha abid e bemaar ne

ki dua allah se ye khafila saalar ne

ye khula saydaniyo ka sar chupa de kibriya

warna likh rakhi hai meri maut is bazaar ne


shaam ka bazaar hai aur bekas o lachaar hai

zulm karne ko tamashayi sabhi tayyar hai

har tamashayi khada insaniyat khota raha

qatl abid shaam ke...


maadar e asghar chali hai raahon mein gathri liye

lakdiyan jhoole ki us mein aur dil e zakhmi liye

bekasi ye dekh ke sajjad khoon rota raha

qatl abid shaam ke...


raah mein gir gir ke bacche naaqon se marte rahe

aale imran pe sitamgar bas sitam karte rahe

gham wo saare karbala se shaam tak ddhota raha

qatl abid shaam ke...


haye hyder abid e beemar gash khaane lage

us ghadi rehan wo darbar mein jaane lage

ye mazalim karbala waalon pe bas hota raha

qatl abid shaam ke...