shaahe deen mere bacche ko lao
uska naazuk gala chid gaya hai
zakhm asghar ka mujhko dikhao
uska naazuk gala chid gaya hai
sab se chota ali tha jo ghar ka
aaj aaya hai uska bhi laasha
lut chuki sab bahaare chaman wo
jisko mehnat se maine tha paala
kaise zinda rahun mai batao
uska naazuk gala...
maa ki aagosh khaali rahegi
zindagi bhar ye matam karegi
bas khuda maa ki haalat ko jaane
kis tarha wo ye sadma sahegi
cheh mahine ka laasha dikhao
uska naazuk gala...
cheh mahine ka baccha tha mera
teen din se tha pyasa dulaara
kaante halqoom mein pad gaye thay
ho raha tha jigar paara paara
mujhse asghar ko ab na chupao
uska naazuk gala...
teer halqoom par jab lagi thi
mere dil ko khabar ho gayi thi
mar gaya mera masoom beta
mujhko ran ki hawa keh rahi thi
uske chehre se chadar hatao
uska naazuk gala...
umme kulsoom zainab bhi aao
daagh chehre se khoon ka mitao
khoon gardan ka rukta nahi hai
zakhm pe aake marham lagao
pyar se uski gardan uthao
uska naazuk gala...
soch kar dil tadapta hai mera
mere bacche ko jisne hai maara
kya nahi thay wo aulaad waale
jisne cheena hai maa ka sahara
koi asghar ko aa kar jagao
uska naazuk gala...
kha ke hyder wo ghash gir padi maa
kya kare kokh ujdi hui maa
daagh rehan kaise mitega
bas ye sarwar se kehti rahi maa
laash uski sambhal kar uthao
uska naazuk gala...