ro ro ke ye kehti hai maadar
uth jao mere pyare asghar
kyun sote ho jalti reti par
uth jao mere pyare asghar
mamta ki tadap tum kya jaano
mai maa ho tumhari pehchano
mai ghar se nikal aayi baahar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
kis tarha gawara ho mujhko
tum jalti zameen par sote ho
soona hai mere dil ka bistar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
moo rakh ke tumhare chehre par
parde ka sahara kar loongi
mai hogayi mohtaaj e chadar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
tum so gaye pyase maqtal mein
hum tashna dahan hai jangal mein
hai pyaas abhi tak mehwe safar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
jo kuch bhi hua wo hona tha
is soch mein doobi hoo beta
ghar jaungi mai kya moo le kar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
tapti hai abhi tak ran ki zameen
mai maa hoo tumhari ghair nahi
kaise rakh loo dil par pathar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
phir tum ko aziyat pahunchegi
maa naize par sar dekhegi
aa jayega phir shaami lashkar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
samaan e tasalli ho jaye
kuch dil ko tashaffi ho jaye
hai badla hua ghar ka manzar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
mai jaan ka sadqa dedungi
jee bhar ke balayein lelungi
aaghosh mein aajao has kar
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...
tareekh mein milta hai ishrat
maa choom ke choti si turbat
bas kehti rahi asghar asgahr
uth jao mere pyare asghar
ro ro ke ye kehti...