zameen o aasman dono hai larza zulm e paikaa se
bujhe ja rahi hai pyaas asghar ki rag e jaan se
tazbazab mein khade hai darmiyan e qaima o maqtal
shah e deen soch mein hai ke kya kahe baysheer ki maadar se
zameen o aasman dono hai...
madaar e karbala hai tum pa ay asghar chale aao
ajal awaaz deti hai musalsal aaj maidan se
zameen o aasman dono hai...
koi bacha humak kar baap ke haathon pe marta hai
bagole uth rahe hai har taraf khaak e bayaban se
zameen o aasman dono hai...
usi ke khoon se chehra hua hai surkh sarwar ka
ulat kar aasteenein jiski le aaye thay armaan se
zameen o aasman dono hai...
rahegi ta-qayamat alqama sharminda sharminda
lipat kar tashnagi roti rahegi us ke daaman se
zameen o aasman dono hai...
rabab e qastatan ko daag bachon ka bhi sehna hai
koi chutega karbal mein koi bichdega zindan se
zameen o aasman dono hai...
ali asghar hai mehve khwaab shahid seena e sheh par
badal kar nainawa ko karbala jaise gulistan se
zameen o aasman dono hai...