aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se ye kehti rahi maadar
din dhal gaya hai aaja aaja ali asghar
hai itna andhera ke nazar kuch nahi aata
ay chand mere noore nazar laut ke aaja
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
jal jaye mere haath ke jal jaaun mai khud bhi
ay laal tere jhoole ko jalne nahi doongi
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
chain aayega kis tarha tujhe jalti zameen par
aaja tujhe behla'un mai seene se laga kar
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
hasrat bhari nazron se tera dekhna maa ko
jaate huwe kuch aur bhi tadpa gaya maa ko
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
jeene ko nahi deti ye qaime ki udaasi
zinda hoo ke aane ki tere aas hai baaqi
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
haathon may rasan hai mere aur khaak hai sar par
tu aa ke zara dekh to ghurbat ka ye manzar
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
maqtal may har ek simt qayamat ka samaa hai
mai dhoond rahi hoo mera baysheer kahan hai
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...
jhoole se juda karna qayamat hua gohar
ye kehte huwe mar gayi wo ghamzada maadar
aa asghar mere aa asghar aa asghar
lipti hui jhoole se...