Kanz e Aza

Aa Teere Garan Le

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

aa teer e garan le gardan par

ab poora kar ashoor asghar


manzoor hai wo hum dono ko

allah ko jo manzoor asghar


ab baat na karna godhi ki

ab baat na karna lori ki

hona hai hamesha hi ke liye

tujhe apni maa se door asghar

aa teer e garan le...


ek baar shahadat sab ke liye

do baar shahadat tere liye

ek teer e garan aur ek naiza

is gaam pe hai mamoor asghar

aa teer garan le...


hum pyaas liye hai zabano par

wo qabza kiye hai daya par

mansoor ye hum mazloomon ka

wo zaalim ka mansoor asghar

aa teer garan le...


ye shaami kufi pathar dil

kuch dayr mein ye sab royenge

mumkin jo na tha ho jayega

hasne se tere wo zaroor asghar

aa teer garan le...


shaamil hai azal ke waade mein

chehre pe mere ho tera lahoo

aabaad ho teri tajalli se

aagosh ka mere toor asghar

aa teer garan le...


kuch din hi jiyegi baad tere

tujhe godh mein paalne waali maa

bacchon ki judaai ke zakhmon se

us ka dil hoga choor asghar

aa teer garan le...


abid tere gham ka kaatib hai

abid tere dar ka sajid hai

hai jo bhi likha hai jo bhi padha

sab tu ne diya hai shaoor asghar

aa teer garan le...