Kanz e Aza

Aaja Ay Laal Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Zahid Ali. Lyrics in Roman Urdu.

asghar aaja asghar aaja

veeran aaja veeran aaja


aaja ay laal asghar jhoola jhulaun aaja


paaya na teen din se pani ka tu ne khatra

gul ki tarha se beta nazuk hai jism tera

sholay ugal rahi hai ran ki zameen aaja

aaja ay laal asghar...


socha nahi tha aise lut jayegi kameini

is kamsini mein teri ho jayegi judaai

tere baghair beta kis kaam hai dunya

aaja ay laal asghar...


zufein teri sawarun chehra tera sajaun

teri balayien lelun sadqa tea utaarun

maangu duayein rab se jeene ki tere beta

aaja ay laal asghar...


toofan utha rahe hai har simt zalzalein hai

aandhi bhi chal rahi hai qaime bhi jal rahe hai

aaja ke jald beta ab jal na jaaye jhoola

aaja ay laal asghar...


tere baghair kaise ab chain se rahungi

asghar mai tujhko khokar pal bhar na jee sakungi

maadar ko bhi bulaale tu jis jagah hai beta

aaja ay laal asghar...


zahid wo tera nauha mohsin suna raha hai

har maa ke dil ka armaan isme raqam hua hai

toofan e gham hai isme hai hasraton ka darya

aaja ay laal asghar...