Kanz e Aza

Aaja Ay Mere Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Azam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina ne tadapkar ye kaha

aaja ay mere baba jaan


raat din roti hoo karti hoo faqad yaad tujhe

ek pal chain nahi aati hai zindan mein mujhe

ay mere baba judaai na mai seh paaungi

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


ab tere baad mai samjhi hoo yateemi kya hai

door jo ghar se hui samjhi aseeri kya hai

dard o gham aur sitam sehti hai dukhiya teri

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


dekho rukhsaar pe kitne hai tamachon ke nishan

jism mein dekho zara kitne hai durro ke nishan

dard itne hai ke lagta hai mai marjaungi

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


tere seene pe hi soti thi lipat kar mai tujhe

ab bhala khaak pe neend aaye to aaye kaise

haye dekho to sakina ki zara bechaini

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


haye kano se lahoo ab bhi tapakta hai mera

aur gardan mein bhi rassi ke nishan hai gehra

kitni zakhmi hoo mai aajao ye dikhlaungi

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


aaj bhi kitni hoo pyasi mai bataun kaise

hont sookhe hai zaban khushk dikhaun kaise

saans leti hoo to tharra'ta hai ye jism mera

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


haye baba tere zakhmo ko nahi bhooli mai

be-kafan laasha tera ab bhi nahi bhooli mai

yaad mein tere tadapti hoo jiigar hai chalni

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...


baap ke gham mein wo aazam haye dam tod gayi

qaid khane mein har ek dil ko rota chod gayi

phir aqif aayegi zindan se na awaaz koi

aaja ay mere baba jaan

haye masoom sakina...