aajao ab aajao ab aajao sakina
bano ki sada thi ke na tadpao sakina
ab mujh se judaai ka alam uth na sakega
yun rooth ke maadar se na tum jao sakina
aajao ab aajao…
phir pyar se maa kehke pukaro meri dilbar
amma ko na is tarha se tadpao sakina
aajao ab aajao…
asghar ki judaai ali akbar ki judaai
kaafi hai na tum bhi mujhe rulwao sakina
aajao ab aajao…
kano se lahoo behta hai ruqsaar hai neele
ye shakl na abbas ko dikhlao sakina
aajao ab aajao…
lipta ke kaleje se duayein meri kehna
ek nanhi si turbat jo kahin pao sakina
aajao ab aajao…
kya mujhse khata hogayi kyun rooth gayi ho
is ghamzada madar ko ye batlao sakina
aajao ab aajao...
ye sach hai bahot qaid mein dukh tumne uthaye
so baap aagosh mein sojao sakina
aajao ab aajao...