Kanz e Aza

Aakhri Raat Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

shamma zindan may manga de koi

aakhri raat hai sakina ki


jaa rahi hai hussain ki beti

aakhri raat hai sakina ki


ye jo gardan pe hai rasan ka nishan

saath turbat may iske jayega

koi umme rabab se kehde

ab ye chehra nazar na aayega

aaj jee bhar ke dekh lo bibi

aakhri raat hai...


paas baba ke jaane waali hai

ab tamache na koi maarega

qabr may to ghamon ki maari ke

koi gohar nahi utarega

jaake turbat may chain payegi

aakhri raat hai...


hai janab e ameer ki poti

inteha ispe hai ghareebi ki

aalam e nazha ho gaya taari

saans rukne lagi hai bachi ki

reesma ab to kholdo iski

aakhri raat hai...


rone waali ki chalti saanson ko

aaj is tarha roka jaata hai

band hojaye shor girya ka

sare shabbir laaya jaata hai

hai mulaqaat baap beti ki

aakhri raat hai...


shor ye bediyon ka kehta hai

koi uth'ta hai koi girta hai

hai khabar ye ghareeb bhai ko

dam behan ka nikalne waala hai

abhi legi ye aakhri hichki

aakhri raat hai...


roke sajjad khud se kehte thay

kaise mayyat utha'unga iski

qaid zanjeer may hai haath mere

qabr kaise bana'unga iski

be-kafan jayegi behan meri

aakhri raat hai...


kaisa manzar tha qaid may akbar

chaar jaanib tha shor giryan ka

laake sajjad ne sakina ki

godh may sar jo rakha baba ka

sare shabbir se sada aayi

aakhri raat hai...