aati hai sakina ki sada karbobala se
ammu ho kahan aao ke hum hai abhi pyase
aati hai sakina ki...
atka hai jigar pyas ye le-legi meri jaan
bach bhi gayi gar shimr ke durro ki saza se
aati hai sakina ki...
baysheer ke honton pe nahi pyaas ka shikwa
tar kar diya aada ne gala teere jafa se
aati hai sakina ki...
jo ran ko gaya ran se kahan aaya palat kar
deti hai phupi jaan mujhe yuhin dilaase
aati hai sakina ki...
sunti hoo yateemo ki dua radh nahi hoti
ya rab mujhe milwade phir ek baar chacha se
aati hai sakina ki...
maa behne khule sar hai lahoo roti hai aankhein
uth'ta nahi bhai ka mere sar hai haya se
aati hai sakina ki...