aati hai ye khaimou se sada haaye alamdar
alamdar alamdar
lo margaya shabbir ka ghamkhaar madadgaar
alamdar alamdar
dil sayyed e abraar ka qabu me kaha'n hai
nazro'n me dhuwa'n hai - andher jaha'n hai
is haal pe shabbir ke haste hai sitamgaar
bazu kate, sar shaq hai, lagi pusht pa shamsheer
hai ankh me bhi teer -- bechain hai'n shabbir
sar taaba qadam sher huwa khoon mesarshaar
sar ghazi ka hai shaah ke zanu pe qayamat
hai waqte shahadat - karte hain wasiyyat
lasha mera khaime me na lejaiye sarkaar
abbas tere dam se tha ghar shaah ka abaad
ab ho gaya barbaad -- dil hota hai nashaad
khaimou pe nazar aati hai taaraji ke asaar
har ek ko himmat thi bharosa tha tumhara
hai kaun hamara -- tumhi the sahaara
ab zainab o kulsoom ka allah madadgaar
shehzadiyo'n pa hogi ab har gaam pa bedaad
pad jayegi uftaad -- fariyaad hai fariyaad
kis tarha jiye bibiyaa'n jeena huwa dushwaar
lipta ke sakina ko bahot rote hain sarwar aur kehte hai roker -- ab aayega mehshar
hojayenge neele meri bachi tere rukhsaar
shabbir hai har ghar me alamdaar ka matam
har ankh hai purnam - manzar hai ye alam
marjayenge rote huwe sarwar ke azadaar