sar jhuka kar shahe waala se ye ghazi ne kaha
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
ab to tanhaai ke hamle hai ghamon ke dere
sar kataye huwe sote hai sipaahi mere
dam ulajhta hai mera qaidi e aazaar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
yehi ehsaas kiye rehta hai mujhko bechain
mere hote huwe pyase rahe tiflaane hussain
ab ye aalam hai mera jeene se bezaar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
ay mere maalik o mukhtar shahenshaah e umam
do mujhe izn tumhe pyasi sakina ki qasam
nehr ki samt rawan hone ko tayyar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
jo tamanna hai mere dil mein ujaagar kar doo
zindagi aap ke bachon pa nichawar kar doo
roz e awwal khuda e shahe abraar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
bekasi zauf o naqaahat nahi dekhi jaati
pyase bachon ki ye haalat nahi dekhi jaati
jaan dene ke liye bachon pa tayyar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
ghamzada bekas o mazloom hazeena ke liye
jaan jaati hai chali jaaye sakina ke liye
aap ka aap ke bachon ka wafadaar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
aap ka izn jo mil jaaye shehenshaah e hazeen
nehr qaime mein na laaun to mai abbas nahi
jis ko maanga tha ali ne wohi jarraar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...
khoon rone lage us waqt shahe nek hizaal
jis ghadi sher e dilaawar ne farmeina bilal
aap par jaan fida karne ka haqdaar hoo mai
ab wo lashkar hai kahan jis ka alamdar hoo mai
sar jhuka kar...