ammu chale aao ammu chale aao
meri khabar lene aaye na palat kar
bhool gaye mujhko tum nehr pe jaa kar
kaisi mohabbat hai ye kaisi wafa hai
ammu chale aao...
rone nahi deta hai shimr e sitamgar
saans ka lena bhi ab hogaya doobhar
gham ki satayi par ye kaisi jafa hai
ammu chale aao...
aap bhatiji se yun roothe hai kyun kar
kyun nahi aate hai darya se palat kar
itna bata dijiye kya meri khata hai
ammu chale aao...
ahle haram girya hai khaak pe baithe
doob chuka suraj aur jal chuke qaime
chaayi hui har soo ab gham ki ghata hai
ammu chale aao...
jal gaya sholon mein bemaar ka bistar
ab na raha baaqi gehwara e asghar
aur mere kurte ka daaman bhi jala hai
ammu chale aao...
behre khuda sun lo faryad e sakina
apni bhatiji ko pahuncha do madina
gham se yahan jeena dushwaar hua hai
ammu chale aao...
aale payambar ka jeena hua doobhar
unko phiraate hai balwe mein khule sar
sar hai khule sab ke maqna na rida hai
ammu chale aao...
kaun uthayega godhi mein bula ke
kaun pinhayega bunde mujhe laa ke
shimr mere gohar bhi cheen raha hai
ammu chale aao...
bas yehi hasrat hai ammu mere dil ki
dekh le tum ko bas ek baar bhatiji
pyaas ka shikwa na pani ka gila hai
ammu chale aao...
aaj bhi us gham sab girya kuna hai
ab bhi bilal aankhon se ashk rawan hai
keh ke sakina ne dam tod diya hai
ammu chale aao...