Kanz e Aza

Ghareeb Imam Alvida

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

haye hussain alwida haye hussain alwida

maula hussain alwida aaqa hussain alwida


ghareeb imam alwida shaheed imam alwida


ye ranj o gham ki barishein ye khoon mein doobi aasteen

ye beshumar zakhm aur tumhara jism e nazneen

hai kaun jo samajh sake tumhare gham ki inteha

ghareeb imam alwida...


na waqte zibha zaalimon ne aab boondh bhar diya

rula rula ke tujhko dushmano ne qatl kar diya

tadap rahe hai mustafa bilak rahi hai fatema

ghareeb imam alwida...


kahan aza ki wus'atein kahan ye ashke mukhtasir

isi ka shaahe behrobar qalaq rahega saal bhar

tumhare gham mein rone ka hua na hum se haq ada

ghareeb imam alwida...


hamara ghut raha hai dum hamay rula rahe hai kyun

abhi to aap aaye thay abhi ye ja rahe hai kyun

hamay batate jaaiye hui hai hum se kya khata

ghareeb imam alwida...


na aap aise jaaiye na is tarha rulaiye

jo ja rahe hai aap to ghulamon ko bataiye

ye saal bhar ka faasla ghatega kis tarha bhala

ghareeb imam alwida...


tadap rahi hai aurtein bilag rahi hai bacchiyan

sawaal kar rahi hai hum se hind ki udasiyan

thi jis ke dum se raunaqein wo ab kahan chala gaya

ghareeb imam alwida...


kahan ye gham ki barishein kahan aza ki raunaqein

kahan naseeb hongi saal bhar wafa ki raunaqein

alam jo hum badhayenge lagega ghar luta luta

ghareeb imam alwida...


khata jo hogayi ho kuch tu usko bakhsh dijiye

gunah gaar hai bohat humay muaaf kijiye

qasam hai aap ko janabe hurr ki shaahe karbala

ghareeb imam alwida...


jo hoga beqarar dil to farshe gham bichayenge

mere imam aap ko hum apne ghar bulayenge

zaroor aaiyega aap ko azaa ka waasta

ghareeb imam alwida...


kareem ho karam karo qasam hai tumko shaahe deen

bilal e kazmi tumhara ho ke aamir e hazeen

ye dono beqarar hai bula lo jald karbala

ghareeb imam alwida...