haye zainab haye yateemi
kufe waalon lut gayi zainab
uth gaya sar se baap ka saaya
khaak pe baithi sar ko jhukaye
dukhiya kya kya dekh rahi hai
aaj ali ki laadli beti
kal ka kufa dekh rahi hai
har bibi hai dar ke sarhane
le le kar abbas ka naam
apne baazu apne gaysu
apna chehra dekh rahi hai
khaak pe baithi...
choomte hai abbas ke baazu
faatahe khyber aur zainab
dard o alam ke is manzar mein
daste bureeda dekh rahi hai
khaak pe baithi...
zehr mein doobi taygh lagi hai
farqe ali se khoon hai rawan
aur is gehre zakhm mein zainab
zamkh e hussaina dekh rahi hai
khaak pe baithi...
ashq fishan hai chaahne waale
dar pa hai laakhon ka hujoom
phir bhi zainab jaane kyun
sarwar ko akela dekh rahi hai
khaak pe baithi...
kuch to piya tha tayghe sitam ne
zehr abhi kuch shaam mein hai
is liye zainab sad paara
shabbar ka kaleja dekh rahi hai
khaak pe baithi...
baap ki mayyat mil jhul kar
kaandhe pe uthaate hai shabbir
zainab dukhiya teeron par sarwar
ka janaza dekh rahi hai
khaak pe baithi...
subha ko hyder dafn huwe hai
shaam ko hyder ki jaayi
misle sakina khaak pe baithi
baap ka rasta dekh rahi hai
khaak pe baithi...
ummat ke is zulm pe shayad
yaad aate hai nana rasool
baap la laasha dekh ke zainab
suye madina dekh rahi hai
khaak pe baithi...
dil ko hamare hota hai
mehsoos ye aamir aur bilal
shayad zainab laasha e sarwar
khoon mein dooba dekh rahi hai
khaak pe baithi...