kiya tha maa se jo waada nibhaya zainab ne
zamane bhar ko hussaini banaya zainab ne
baha ke ashke aza aur keh ke haye hussain
bicha ke farshe aza khaak ar baraye hussain
ek aasman zameen par bichaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
ulat ke shaam ka darbar karke fathe mubeen
jahan hussain ka qatil tha hukmaraan wahin
hussaini fauj ka parcham lagaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
charaghe khaana e kaaba bujhane aaye thay
jahan pe shaami andhere basane aaye thay
usi zameen ko suraj banaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
yazeedi khud bhi ye kehte hai haan nahi milta
kahin yazeed ka naam o nishan nahi milta
usay to khaak mein aisa milaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
jahan pe kaata gaya tha hussain ke sar ko
jahan pe loota gaya tha hussain ke ghar ko
wahin hussain ka rauza banaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
hawa e zulm bana khaiz o khoon ke darya mein
suna hai aun o mohamed ki tarha dunya mein
khuda ke deen ko chalna sikhaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
har ek sache muarrikh ka halfiya hai bayan
nabi rasool wali deen karbala quran
aseer ho ke bhi sab ko bachaya zainab ne
kiya tha maa se jo...
jo chaahe dekh le khud shaam jaa ke ye manzar
hawayein kaampti hai jis ko dekh kar gohar
charagh shaam mein aisa jalaya zainab ne
kiya tha maa se jo...