deti thi sughra ye duhaai
laut ke aaja mere bhai
tum mujhe le jaoge ye waada kiya tha
kyun mujhe le jaane nahi aaye hua kya
haye bohat dayr lagayi
laut ke aaja mere bhai...
raasta takti hui mar jayegi behna
tere bina ab nahi jee payegi behna
seh nahi sakti mai judaai
laut ke aaja mere bhai...
baithi hui dar pe kabhi karti ye nauha
haye mera bhai abhi tak nahi aaya
koi khabar bhi nahi aayi
laut ke aaja mere bhai...
phirta hai in aankhon mein ab tak tera chehra
ek bhi pal aisa nahi guzra hai bhaiya
jab ke teri yaad na aayi
laut ke aaja mere bhai...
main to har ek waqt tere gham mein hoo roti
mujh ko mere bhai khabar hi nahi hoti
kab huwa din raat kab aayi
laut ke aaja mere bhai...
rota hua aisa mujhe chod gaya tu
rukte nahi bhai meri aankhon se aansu
aisi ghata dard ki chaayi
laut ke aaja mere bhai...
jeene ki ab koi mujhe aas nahi hai
koi bhi ay bhai mere paas nahi hai
mujhpe taras khaa mere bhai
laut ke aaja mere bhai...
gohar e dilgeer yehi lab pe tha nauha
haye yehi kehte huwe mar gayi sughra
laut ke aaja mere bhai
laut ke aaja mere bhai...