shikwe karungi aankhon se aansu bahaongi
baba ko yeh phata huwa kurta dikhaongi
laut aao baba laut aao baba laut aao baba
kehti hai rokar fatima sughra laut aao baba
mushkil hai ab mra jeena – 2 laut aao baba . . . . .
1. qasim-o-akbar aun-o-mohammed paas nahi mere
kisko sada doon ab toh chacha abbas nahi mere
aap ki beti hogayi tanha -2
laut aao baba . . . . .
2. raah tumhari karti hu main aye akbar bhaiya
kehke gaye the aaonga lene mein tujhko behna
bhool gaye who apna wada
laut aao baba . . . . .
3. mere bhaiya akbar ki shaadi toh rachi hogi
farte khushi se meri amma jhoom rahi hogi
dekhlo mein dulhan ka chehra
laut aao baba . . . . .
4. reh reh ke tadpata hai mujhko asghar ka hasna
meri taraf se aankho ko uski ek bosa lena
kiska jhulaun ab main jhula
laut aao baba . . . . .
5. pehni hogi meri behna kaano mein gauhar
noor nirala hoga yaqeenan uske gaalo par
kaisi hai ab meri sakina
laut aao baba . . . . .
6. jab se gaye ho aaj talak kuch bhi na khabar aayi
hoti hai mere dil mein khatak kuch bhi na khabar
aayi
hota hai ab dil ko dhadka
laut aao baba . . . . .
7. suna hai kaaba suni hain masjid mimbar bhi suna
aap ke bin suna hai madina aur ghar bhi suna
charo taraf hai ab sannata
laut aao baba . . . . .
8. rab jaane kyun mujhko khayal aata hai ye aksar
khair ho phupiyo ke parde ki hai yeh duwa lab par
haal hai kaisa mere chacha ka
laut aao baba . . . . .
9. tadpata hai baba mujhko gham tanhai ka
khoon rulata hai ab mujhko dard judai ka
tha yeh nazar dukhiya ka nauha
laut aao baba . . . . .