marhaba marhaba marhaba ya hussain
kehrahe the yeh kul ambiya ya hussain
1. bole adam ke meri dua app hain
nooh bole mere na khuda aap hain
abroo -e- khaleel -e- khuda aap hain
bole moosa ke mera assa aap hain
khizr bole mere rehnuma aap hain
bole essa ke wajhe shifa aap hain
khidmat -e- ambiya ki jaza aap hain
aap hum sab ki mehnat bacha le gaye
shukriya aap ka shukriya ya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
2. keh rahe the khaleel -e- khuda ya hussain
paish karne ko qurbani farzand ki
baandhi ankhon pa patti basad aajazi
halq par uske phir bhi churi kab chali
aaya jannat se fidya toh jaan bach gayee
dekhte hi gale par churi ka nishaan
itna sadma huwa uski maa chal basi
off teri tashnagi dhoop aur bekasi
tune toh zakhmi seene se khenchi sina
tune akber ka laasha uthaya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
3. thi yeh ayub ki bhi sada ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
pesh -e- haq jab huwi aazmayesh meri
jal gaye bagh aulad bhi margayi
la dawa they maraz us pa fakha kashi
ek roti ke badle mein zalim koi
maangta tha rida meri namoos ki
mujh mein phir takhat -e- sabr hi na rahi
parda pooshi jo ummat ki manzoor thi
tune zainab ki dedi rida ya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
4. bole younus ba hukm -e- khuda ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
qaum karne lagi mujh se jab ijtenab phir na bakhi rahi sabr ki mujh mein taab
maine fauran hi maanga khuda se azaab
nikla basti se khakar jo main pesh -o- taab
batn -e- mahi mein qaidi raha zaire aab
khoon -e- asghar na malte jo rukh par janab
aata khudrat ka fauran ghazab aur ataab
tum ko ummat ne itna sataya magar phir bhi tumne na ki bad dua ya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
5.ibne mariyam ki thi yeh sada ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
meri maa yane mariyam kaneez -e- khuda
teri maa fatima malka -e- halata
mujh ko bas maa ki nisbat se jana gaya aur tu kehliya farzand khairul wara
maa ki aaghosh thi sirf jhoola mera aur farishtoun ne jhoola jhulaya tera
main toh aaghosh -e- madar mein goya huwa
tune halq -e- burida se quran padha
main ne toh sirf murdoun ko zinda kiya
tune islam zinda kiya ya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
6. keh rahe they shahe ambiya ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
razm aur bazm mein apne ashab se
baarha main ne jannat ke wade kiye
jab bhi kuffar ke mujh pa hamle huwe
sab ke sab mujh se moun modh kar chal diye
sirf mere mahafiz they baba tere
wo na mujh ko mile na ali ko mile
jaise ashab o ansar tujh ko mile
tune ashrey ki shab shamma gul ki magar phir bhi koi na uthkar gaya ya hussain
7. keh rahe they rasool -e- khuda ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
mere qasim ka jisdam huwa inteqaal
maa thi behosh khud main tha gham se nidhaal
tere baba ne dekha jo mera yeh haal
khud banayee lahad go tha dil ko malaal
youn huwa chain se dafn wo nounehaal
dafn -e- asghar pa kya sabr tha be misaal
paas hi thi khadi madar -e- khasta haal
apne hatoun se jalti huwi khaaq mein
tune khud be zuban ko chupaya hussain
marhaba marhaba marhaba ya hussain
8. outh ke dard -e- jigar ne kaha ya hussain
(ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain)
tashna lab karke jaam -e- shahadat ko nosh
jaraha hai suwe arsh maqtal badosh
ghar mein saiydaniyoun ke hai rone ka josh
le wo bimaar abeid ko aata hai hosh
dil se rukhsat huwee fikrey farda-o-dosh
ab hai shouq-e-shahadat mein sar bar-e-dosh
taab-e- goyayee baqi nahi aye saroosh
itna keh ke tu filwaqt hoja khamosh
tune zikr-e- khuda-o-ali ke liye
zair-e- khanjar gala rakh diya ya hussain
ya hussain ya hussain ya hussain yahussain