Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab
har Simt Se Maa Jaaya Tera Ghir Gaya Zainab
1. Tum Janti Ho Khaime Me Ab Koi Nahi Hai
- Behna Meri Behna
abbas Nahi Qasim-o-akbar Bhi Nahi Hai
-behna Meri Behna
besheer Ki Mayyat Bhi Mai Dafna Chuka Zainab
2. Kis Tarha Sambhale Dile Bechain Ko Laila
- Behna Meri Behna
woh Bhool Nahi Payegi Akbar Ka Kaleja
behna Meri Behna
uske Dil-e-muztar Ko Bhi Do Hausla Zainab
3. Besheer Ki Maa Baithi Hai Jhoole Ko Sambhale
behna Meri Behna
sab Loriya'n Chup Hogayin Hotou'n Pe Hain Naale
behna Meri Behna
chehre Pe Mere Khoon Hai Besheer Ka Zainab
4. Ab Sookhe Gale Par Mere Chal Jayega Khanjar
behna Meri Behna
le Janaa Hai Sajjad Ko Sholou'n Se Bachakar
-behna Meri Behna
ab Zulm Ka Andaaz Badal Jayega Zainab
5. Beenayi Meri Legaye Sab Ghar Ke Ujaale
behna Meri Behna
ab Khaak Pe Sote Hain Meri Godh Ke Paale
-behna Meri Behna
yeh Dekhte Hi Dekhte Kya Hogaya Zainab
6. Hojayenge Ab Zulm Ke Andaaz Niraale
- Behna Meri Behna
jo Reh Gaye Khaime Me Woh Hain Tere Hawale
-behna Meri Behna
ab Farz Ada Karna Hai Abbas Ka Zainab
7. Jal Jayenge Khaime Toh Bikhar Jayenge Bache
- Behna Meri Behna
ek Jaa'n Tumhe Karne Hain Yeh Tasbeeh Ke Daane
behna Meri Behna
maqtal Me Nikalna Hai Tujhe Berida Zainab
8. Aada Mere Bachi Pe Bohat Zulm Karenge
-behna Meri Behna
mazlooma Ko Masooma Ko Marenge Tamache
- Behna Meri Behna
hai Sakht Masayeb Ka Tumhe Saamna Zainab
9. Bikhre Huve Sab Khoo'n Bhare Manzar Hai Nazar Me
- Behna Meri Behna
rukta Hi Nahi Fikr Ka Taa'er Hai Safar Me
- Behna Meri Behna
maange Hai Rasheed Aapse Ab Hausla Zainab