paamaal hoke hazrate qasim guzar gaye
phoolo ki tarah dashte bala me bikhar gaye
farwa ke laal ibne hassan jaane shaahedee'n
tera baras ke sin me bada kaam kar gaye
rokar sakina kehti hai hum se ye baar baar
kubra bataaiye mere bhaiya kidhar gaye
kya ham pe dekho aaj qayamat guzargayi
dulha se pehle ham hi bhala kyu na mar gaye
kubra ka tha baya'n na liya saath hum ko bhi
dulhan ko chord kar mere dulha kidhar gaye
taa zindagi na chain milega hame kabhi
ham jeete jee tumhaare bina aaj margaye
haatho me reesmaa'n bandhi pao'n me qaar hai
qasim ghame hayaat se tum be qabar gaye
ab qaid karke aada hame leke jaate hai
aao chudhane aye mere qasim kidhar gaye
qasim tumhare baad bala ke sitam hue
darbaar me yazeed ke hum nange sar gaye
kya sun sakoge haal dil e beqaraar ka
bin tere hum to qaid huwe darbadar gaye