qaabu Me Nahi Dil Sarwar Ka
paamal Hasan Ka Laal Hua
01. Qaimo Me Udasi Chaai Hai
dulhan Pe Qayamat Aai Hai
kuch Der Me Ghar Barbaad Hua
02. Ghairat Se Jhukaye Sar Dulhan
roti Hai Ke Lut Ta Hai Gulshan
kis Tarah Kare Khismat Ka Gila
03. Chaya Hua Qaasim Ka Gham Hai
shaadi Ki Jagah Par Maatam Hai
sayedaaniyo Me Hai Hashr Bapa
04. Maidaan Me Ajab Aafat Aai
tasweer E Ali Khoon Me Doobi phir Tukde Hua Dil Shabbar Ka
05. Laashe Pa Ye Rokar Ye Shah Ne Kaha
mai Teri Madad Ko Aa Na Saka
ta Hashr Ye Gham Rulwayega
06. Sajde Me Jhukaye Maa Ne Sar
qurban Hua Hai Mera Pisar
maqbool Huwi Farwa Ki Dua
07. Bas Rok Qalam Ko Aye Manzar
sar Peet Ke Rote Hai Sarwar
kehte The Yehi Pamal Hua
pamal Hua Pamal Hua