shaheed ho gaya farwa ka laal jab ran mein
rakha qiza ne qadam ko hassan ke gulshan mein
layeen ne kar diya qasim ki laash ko pamaal
hussain ho gaye sunte hi ye khabar behaal
hussain apne bhatije ka gham uthaye hai
rida mein laash ke tukdon ko jaake laaye hai
bapa jo hashr ka aalam tha qaime ke andar
lahoo mein doobi hui dekh dekh kar chadar
sakina ne poocha ye zainab se rokar
phuphi baba chadar mein kya laaye hai
thokarein khaate maqtal se shaah aate hai
poocha zainab se bacchi ne kya laate hai
amaama hai baba ka kyun khoon mein tar
phuphi baba chadar mein...
aake dekha jo qaime mein shabbir ko
kaampta paaya zainab e dilgeer ko
boli zainab ke daaman ko wo thaam kar
phuphi baba chadar mein...
sheh ke haathon mein dekhi jo gathri bandhi
haye masoom bacchi ye kehne lagi
dil phata jaata hai mera ye dekh kar
phuphi baba chadar mein...
aray maathe pe baba ke kis ka hai khoon
haye is khoon se aati hai apne ki boo
tapakta hai kis ka lahoo khaak par
phuphi baba chadar mein...
sambhale se ye dil sambhalta nahi
meri aankhon se ye ashk rukta nahi
mujhe bhi to is baat ki ho khabar
phuphi baba chadar mein...
haye apno se kuch bhi chupate nahi
ay amma ye baba bataate nahi
thak chuki hoon mai ye baareha pooch kar
phuphi baba chadar mein...
kiska ye jism hai jo ke pamaal hai
aap ke haath aur ye jabeen laal hai
dekha baba ko to boli wo nauhagar
phuphi baba chadar mein...
sakina ka dekha jo ye haal o zaal
to zainab pukari meri dil figaar
na poocho meri haye lakhte jigar
phuphi baba chadar mein...
kabhi bhi ye sadma na seh paogi
jo dekhogi chadar mein mar jaogi
haye zid na karo meri noore nazar
phuphi baba chadar mein...
jisko ghodon ki taapon se rondha gaya
uska laasha ye gathri mein laaya gaya
dikhayi jo chadar usay khol kar
phuphi baba chadar mein...
haye ye dekhte hi wo ghash kha gayi
gir ke mayyat pe qasim ki kehne lagi
mai hargiz na laaungi ye honton par
phuphi baba chadar mein...
shams likh na saka haye teri fughan
ho saka ne ye aamir se kuch bhi bayan
phir na poocha sakina ne ye umr bhar
phuphi baba chadar mein...