Kanz e Aza

Qasim Kahan Ho Tum

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Aashiq Irani. Lyrics in Roman Urdu.

ay hassan ke laadle qasim kahan ho tum

qasim kahan ho tum qasim kahan ho tum


rahi taaqat na ay qasim tere mazoor ammu ko

sukoon kyun kar mile qasim tere ranjoor ammu ko

sahara chahiye qasim tere majboor ammu ko

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...


tumhi maadar ki ay qasim zaeefi ka sahara hai

dar e qaime se tujhko teri amma ne pukara hai

ke narghe may layeeno ke mere aankhon ka taara hai

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...


tumhare saath ghazi ko agar mai bhejta ran may

tujhe wo leke aa jaate tumhari maa ki aangan may

ijazat deke mai tujhko phasa hoo mai bhi uljhan may

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...


laga kar haath may mehendi chale ho jaanib e maqtal

palat kar jald aa jao yahan qaimon may hai halchal

tumhari yaad may kubra tadap kar kehti hai pal pal

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...


tere pamaal laashe ko agar dekhe wo bechari

badi mushkil hai jee paaye tere gham may wo dukhiyari

mere qasim dikhadi tune ghazi ki wafadari

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...


huwe dunya se ruqsat qasim e tashna dahan aashiq

qalam ko choom kar rakh do basad aah o fughan aashiq

wo dekho aake pahunche hai munawar nauhakhan aashiq

mujhe awaaz do qasim jahan ho tum

ay hassan ke laadle...