qasim ki laash le kar aate hai ran se sarwar
hai qaimagah may mehshar aate hai ran se sarwar
dulha jise banakar bheja tha ran may maadar
laasha usi ka lekar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...
qaimon may jaake keh do masnad koi bichao
dulha ki laash utha kar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...
wo garm rayg sehra pamaal gul sa laasha
roti hai roohe shabbar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...
yun dhoondte hai tukde jaise hai phool chunte
ran may aba bichkar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...
dulhan shitaab dekhe laashe ke yun na tukde
zere aba chipa kar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...
momin haram may ghul tha wa qasima ka barpa
kya sakt tha wo manzar aate hai ran se sarwar
qasim ki laash lekar...