Kanz e Aza

Qasim ko jab hussain ne dulha

A noha for Qasim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Qasim ko jab Hussain ne dulha banadiya


Qasim ko jab Hussain ne dulha banadiya , dulha banadiya

Phoolo ne khilke maa ki tamanna banadiya

1) Wo Qaima-e-uroos ka manzar bhi tha ajeeb , Tashnalabi thi paani waha'n kab hua naseeb , Shaadi ki jaa pe jamma hue aake sab gareeb , Farwa ne apne laal ko dulha banadiya , dulha..................!


Qasim ko jab Hussain ne dulha.........!


2) Kaisa ye biyah hota hai aywaan-e shah me , Pyaase barati dulha dulhan Qaima gaah me , Dulha dulhan ku rakhna tu apni panah me , Manzar ajab nigaho me phirta hai hashr ka , phirta.........!


Qasim ko jab Hussain ne dulha.........!


3) Aayi sakina Qaima e Qasim ke muttasil , Phaila ke haath kehti hai bhayya gale tou mil , Howe yeh biyaah tumko mubarak ba jano dil , Baahei'n gale me daal ke Madar ne li bala , Madar ne.....!


Qasim ko jab Hussain ne dulha........!


Ibne Hasan , ay seeme tan , Gul pairahan , Zakhmi badan

Kubra bani bewa dulhan , ghuncha dahan , ibne hasan

4) Ruqsat hua jo Qaime se moula Hasan ka laal , Maa ne balayei'n leke kaha jao khush jamaal , Zinda na run aayio ay mere noune haal , Pamaal hoke aaya hai nousha e Karbala , nousha..........!


Qasim ko jab Hussain ne dulha......!


5) Baade rajas jo tegh nikali neyaam se , Utthi sadaye Marhaba fauje Imam se , Jo kaampte the Arzakhe shaami ke naam se , Qasim ne us layeen ka naksha mita diya , naksha..........!


Qasim ko jab Hussain ne dulha......!


6) Ibne Hasan ka jazba e nusrat tou dekhiye , Yeh Hashmi gharane ki jurrat tou dekhiye , Hamle kiye wo chaa gayi haibat tou dekhiye , Abbas badke kehne lage waah marhaba , waah............!


Qasim ko jab Hussain ne dulha......!


7) Awaaz di ke aao madad ko meri chacha , Doude Hussain Akbar o Abbase bawafa , Lashkar palat ke janibe ibne Hasan badha , Shabbar ka laal ghoodo se pamaal hogaya , pamaal....!


Qasim ko jab Hussain ne dulha......!


8) Laaye jo shaah lashaye nousha e karbala , Masnad pe laake shaah ne laashe ko rakhdiya , Hyder batau kaise jo kubra ka haal tha , Shaadi ka ghar jo tha wahi matam sara bana , matam...!