itihaas ke panno par qasim tera matam hai
karbobala ke ban mein qasim tera matam hai
ahmed ke nawase ho shabbar ke dulaare ho
ek raaj dulaare ho farwa ke jiyale ho
tareekh ke honton pe qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
shadi ke ewaz ran mein chayi hai ghata gham ki
taqdeer mein dulha ke aayi hai khaza ban ke
kis aalam e ghurbat mein qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
sandal hai na mehendi hai kangna hai na sehra hai
bas khoon mein ghaltan sa naushaah ka laasha hai
rote hai shahe waala qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
roti hai teri dulhan ek roz ki wo byahi
khaliq ne muqaddar mein kya shadi hai rachayi
kubra teri kismat mein qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
shabbir ke haathon pe qasim tera laasha hai
kubra ki zindagi mein bachpan se andhera hai
namoose mustafa mein qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
dafna'un tumhe kaise tukde tane athar hai
maut aaye na kyun mujhko ab khaak zindagi hai
sadqe ho teri maadar qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
zainab ka tha ye girya tanha hai shahe waala
hasrat se uth raha hai qasim tera janaza
zehra ke gharana mein qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...
nazrana azeezi ka arif ki zabani hai
mil jaye hame bakshish nauhe to bahana hai
is dashte karbala mein qasim tera matam hai
itihaas ke panno par...