Kanz e Aza

Qataluna Atashana

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

qataluka atashana

zabahuka ibrana

ya hussaina ya hussaina

ya hussaina ya hussaina


hai fiza mein teri khushboo

thame kaise mere aansu

hai shikasta mera pehlu

kahan jaaun batlana

qataluka atashana...


rahun kaise mai watan mein

mera suraj hai gehen mein

mere taare hai rasan mein

phira kaisa ye zamana

qataluka atashana...


meri dunya mera mehwar

meri dhaaras mera dilbar

mera yusuf mera akbar

hua barchi ka nishana

qataluka atashana...


ali asghar ki shahadat

hai anokhi teri ghurbat

liye haathon pe wo mayyat

kabhi aana kabhi jaana

qataluka atashana...


thay wo kaise tere qaatil

jo na samjhe teri manzil

ke mohamed ka hai tu dil

ye na socha ye na jaana

qataluka atashana...


kahin lut'ti hui chadar

kahin chinte huwe gohar

kahin jalta hua bistar

bada mushkil hai bhulana

qataluka atashana...


meri ghairat mera saaya

meri ghurbat mera nauha

meri zainab meri dukhiya

suye zindan hai rawana

qataluka atashana...


kabhi roye yeh biyaban

kabhi tadpe ye teri maa

tere gham mein hai pareshan

tere baba tere nana

qataluka atashana...


tere aamir tere nayyar

tere gham mein rahe muztar

inhe har pal mere dilbar

ghame dunya se bachana

qataluka atashana...