sada e karbala hussain zaban zaban hai ya hussain
jahan na fikr jaa sake irad na jisko paa sake
jo zehn mein na aa sake hai ek maujiza hussain
sada e karbala hussain...
nazar nazar palak palak bashar bashar malak malak
zameen se aasman talak mila jagha jagha hussain
sada e karbala hussain...
nazar ka intekhab hai lahoo ka inqilaab hai
hamara kul hisaab hai likha ali padha hussain
sada e karbala hussain...
kahin azan kahin bhajan kahin dua kahin naman
kahin qasam kahin wachan kisi ka devta hussain
sada e karbala hussain...
sitam ki jumbishe hui lahoo ki barishe hui
hazaar bandishe hui ruki na ye aza hussain
sada e karbala hussain...
sabeelona furaatona siraatona najaatona
hayaatona mamaatona hamara na khuda hussain
sada e karbala hussain...
malak ko baal o par diye khuda ke deen ko sar diye
sabhi ke kaans bhar diye karam ki inteha hussain
sada e karbala hussain...
ghamo ke saaye ghat gaye andhere saare chat gaye
pahaad peeche hat gaye jahan bhi goonj utha hussain
sada e karbala hussain...
wo innama ki shaan hai wo kul kafa ki aan hai
wo fatema ki jaan hai waqaar e hal ata hussain
sada e karbala hussain...
suboot e nayyar e wafa wujood e aamir e aza
sameinte hai jo karbala hai aisa marsiya hussain
sada e karbala hussain...