Kanz e Aza

Sadr Shukr Mere

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

sajde mein sar hai halq pe khanjar ki dhaar hai

banda ye kaun aisa ibadat guzaar hai

khamosh kaise tu mere parwardigar hai

dar par behen hai pusht pe qatil sawaar hai

is haal mein bhi lab pe yehi baar baar hai

sad shukr sad shukr sad shukr mere ya rab


haan ye wohi hussain alahis salaam hai

teri taraf se jis pe durood o salaam hai

sibte nabi hai ye shahe aali maqaam hai

jis ke labon pe ek hi kalma mudaam hai

sad shukr...


ye wo hai jis kai haath mein zulf e rasool thi

tere nabi ku iski har ek zid qabool thi

baba ali isi ka tha maadar batool thi

uski zaban pe baat yehi misle phool thi

sad shukr...


kehte hai daste fatema zehra kai aabile

paala hai chakki pees kai maadar ne pyar se

jannat se kapde eid pe bheje khuda jise

shukre khuda mein baat wo kyun kar na ye kahe

sad shukr...


aulaad waalon tum hi karo dil se faisla

wo shakhs jiska beta ho hamshakle mustafa

dekhe usi pisar ka wo seena chida hua

naiza nikaalte huwe seene se di sada

sad shukr...


rukh suye aasman kiya khaaliq ko di sada

asghar shaheed ho gaya akbar guzar gaya

lashkar kahan ka mera biradar nahi raha

par bekas o malool ne shikwa nahi kiya

sad shukr...


naraaz tu ho mujhse mujhe kab qubool hai

tu khush ho ay kareem mujhe sab qubool hai

qaide haram aseeri e zainab qubool hai

kya tujhko meri baat ye ya rab qubool hai

sad shukr...


zakhmon se choor choor tha jab fatema ka laal

lakhte dile ali o nabi gham se tha nidhal

chehre pe khoon mal ke basad hasrat o malaal

ki arz sheh ne shukr hai ay rabbe zuljalaal

sad shukr...


kaise kahun rehaan jo sheh par guzar gayi

bete shaheed ho gaye bacchi bichad gayi

zainab dayaar e shaam mein jab nange sar gayi

nok e sina se suye falak ye khabar gayi

sad shukr...