shabbir se seekhe koi islam bachana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir ne allah ki har baat hai maani
allah ne shabbir ki har baat ko maana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir se seekhe...
tujhko na diya rone jo kal ahle sitam ne
zainab tere bhai ko ye rota hai zamana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir se seekhe...
shabbir ke seene se lahoo hogaya jaari
tasveer sakina ki kahan dil mein aagayi
awaaz uthi halqe bureeda se ke aao
seene pe sone waali jo maqtal mein aagayi
yaad aata hai wo manzar shabbir ka maqtal mein
teeron bhare seene pe sakina ko sulana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir se seekhe...
ye soch ke asghar ne liya teer galay par
tha mohsin e islam ko teeron se bachana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir se seekhe...
hum nauha kuna aaye idhar farshe aza par
purse ke liye fatema zehra chali aayi
kal majlise shabbir ko zainab thi tarasti
ab majlise shabbir mein dunya chali aayi
zehra ki sada aati hai ye bazme azaa mein
rehaan ye nauha sare mehshar bhi sunana
aata hai jise naize pe quran sunana
shabbir se seekhe...