shabbir tu ne aise bhi dard o alam sahe
in ka deher mein saamna mursal na kar sake
maqtool tujhsa duya mein guzra nahi koi
khud qatl kar ke jisko hai qaatil bhi ro pade
shabbir tu ne aise...
zainab pe bekasi ki qayamat guzar gayi
abbas tere qaatl qaimon mein jab ghuse
shabbir tu ne aise...
kitni ghareeb hogayi ali ki bahu rubab
sab khatm jiske rishte hai ek pal mein hogaye
shabbir tu ne aise...
ziyarat mein mere baarwe hadi ka hai salaam
un bibiyon pe jinke thay baalon mein moo chupe
shabbir tu ne aise...
unki ameer dunya mein koi nahi misaal
raahe khuda mein jinke hai naizon pe sar chade
shabbir tu ne aise...