taziyane shimr ke aur natawan sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
deen ka har ilm hyder asmate aale rasool
aur quran e khuda ka paasban sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
taziyane shimr ke aur...
is khadar rona lahoo ka karta hai zaahir yehi
aale ahmed ke masayib ka quran sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
taziyane shimr ke aur...
jis tarha hai is zameen par aasman saaya fighan
us tarha hi deen ke sar par saayeban sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
taziyane shimr ke aur...
paas rakh kar kuch kaha na qaatil e akbar ko bhi
dekho itna hi reham dil meherban sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
taziyane shimr ke aur...
khatm ho sakti nahi jo hashr tak bhi ay ameer
dard o gham ki ek aisi daastan sajjad hai
phir bhi lekar chal raha sang kaarwan sajjad hai
taziyane shimr ke aur...