Kanz e Aza

Ummat ne Hai

A noha written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

baade rasool kaisa ye inquilaab aaya


ummat ne hai bhulayi tauqeer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki


yasrab mein karbala mein mashad mein saamara mein

looti hai ummatiyon ne jageer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki

ummat ne hai bhulayi...


ay kalma padne waalon islam kya yehi hai

pehne huwe hai itrat zanjeer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki

ummat ne hai bhulayi...


qayil ho mustafa ki azmat ke to batao

jhutlayi kyun hai tum ne tehreer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki

ummat ne hai bhulayi...


min jumla ambiya mein hum ne nigaah ki hai

aulaad e murtaza hai tafseer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki

ummat ne hai bhulayi...


karte rahenge momin seena zani hamesha

likhta rahega midhat ye ameer mustafa ki

pamaal ho rahi hai tasveer mustafa ki

ummat ne hai bhulayi...