Kanz e Aza

Zainab ne Jisko Paala

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ne jisko paala noori hijab may

wo qatl hogaya hai ehde shabab may

haye akbar haye akbar


akbar ki laash dekhi to shabbir ne kaha

sughra ko kya likhunga khat ke jawab may

haye akbar haye akbar...

zainab ne jisko paala…


qaime se nikle akbar to sabko gumaan hua

sarwar ho jaise baithe zeene ukhaab may

haye akbar haye akbar...

zainab ne jisko paala…


usko bhi zaalimon ne hai naize pe chadaya

jee bhar ke jo na khela goday rubab may

haye akbar haye akbar...

zainab ne jisko paala…


matam ka mas'ala hai ye humse na poochiye

sab khuch likha hua hai ummul kitaab may

haye akbar haye akbar...

zainab ne jisko paala…


tapka lahoo jo ban may shabbir ka ameer

ubhra wo aaj ban kar shakle gulaab may

haye akbar haye akbar...

zainab ne jisko paala…