Kanz e Aza

Aaja Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

armaan yehi hota hai

bete ke liye maadar ka

ek chaand si dulhan aaye

banjaye naseeb is ghar ka

socha tha ye sughra ne

mehndi rachaungi

aaja akbar tere sar pe sehra sajaungi

haye akbar haye haye akbar


mai yaad tujhe karti hoo

chehra ashkon se dho kar

din raat tadapti hoo mai

teri yaad mein beta ro kar

ek karb musalsal hai dil mein

ye dard jo har pal hai dil mein

tu na aaya to teri qasam mar jaungi aaja

haye akbar haye haye akbar


armaan yehi hota hai

bete ke liye maadar ka

ek chaand si dulhan aaye

ban jaaye naseeb is ghar ka

ashkon sy banaungi sehra

tere sar pe sajaungi sehra

socha tha ye sughra ne mehndi rachaungi aaja

haye akbar haye haye akbar


khud tujhko banaye dulha

jannat se hyder aa kar

masnad bhi sajaye teri

salman o abuzar aa kar

jannat se gul e tar mangwaun

yun sej uroosi banwaun

jitne armaan dil mein hai wo dikhlaungi aaja

haye akbar haye haye akbar


nabiyon ki qatarein hongi

aur aage mohamed honge

rizwan padhega sehra

behno ko nayg milenge

jannat mein charaghan bhi hoga

jis waqt banega tu dulha

phoolon se mai ye saara jahan mehkaungi aaja

haye akbar haye haye akbar


qaime mein jo aaya laasha

hamshakle payambar tera

umeedein miti maadar ki

hasrat ka janaza nikla

is dil pe sitam hai furqat ka

kuch dosh hai meri qismat ka

batla mujhko ghar kaise laut ke jaungi aaja

haye akbar haye haye akbar


farhan bayan is gham ka

lafzon mein nahi ho sakta

faryad hai ye maadar ki

mazhar ne likha jo nauha

kehti thi yehi ro kar maadar

maa tujhpe fida aaja akbar

haasil kya phir mai qabr mein jab so jaungi aaja

haye akbar haye haye akbar