marhaba shareekatul hussain
aap par salaam zainab
baad e shahe karbala aap ne poora kiya
itna bada kaam zainab
maa se jo kiya tha waada khoob wo nibhaya
saath saath bhai ke rahi hai ban ke saaya
kaam jo koi na kar saka wo kar dikhaya
karbobala bhai ne fatha ki aur aap ne
fatha kiya shaam zainab
aap par salaam zainab...
qatl ho chuka ali ka laal jab furaat par
bibiyon ke bayn cha rahe thay kayenat par
saari zimmedariyan uthayi apni zaat par
bibiyan ghabra gayi pehre pe aap aagayi
jab jale qayaam zainab
aap par salaam zainab...
misle shaah e deen nigahein zulm se milayi thi
faujein jis ghadi qayam lootne ko aayi thi
abid e hazeen ko aap hi bacha ke laayi thi
dekh ke ye hausla keh rahe they marhaba
khud shahe anaam zainab
aap par salaam zainab...
kaise kaise imtehan bibi aap ne diye
karbala ke dasht se aseer hoke jab chale
aap hi to aasra thi ahlebait ke liye
gham mein giraftar thi phir bhi alamdar thi
karbala se shaam zainab
aap par salaam zainab...
kyun na ehteram aap ka ho khaas o aam mein
aap hai shareek e kaar maqsad e imam mein
pehli majlis e hussain wo bhi qaid e shaam mein
koi nahi ho saka baani e farshe aza
sirf hai ek naam zainab
aap par salaam zainab...
zindagi ko waqf kar diya khuda ke naam par
dono laadle fida kiye wafa ke naam par
ek ek ashk shaah e karbala ke naam par
khutba kuch aise diya zulm ko ruswa kiya
hai ye sada aam zainab
aap par salaam zainab...
bhaiyon ko har ghadi rakha dua ke saaye mein
aap ka ye sabr o hausla jafa ke saaye mein
hai khuda ka deen aap ki rida ke saaye mein
shukriya kehte rahe aap ko sajda kare
aap ke ghulam zainab
aap par salaam zainab...
aap ki ata jo ho to choole asmaan sab
saare zakireen nauhakhwan o soz khan sab
mesum aur mazhar abidi kare bayan sab
kaare numeina sabhi aap ki lachaargi
aap ka maqaam zainab
aap par salaam zainab...