Kanz e Aza

Ab Tera Bichona

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ashoor ki shab beti se kehte thay ye sarwar

ab tera bichona khaak hai sakina

kal nahi milega baap ka ye seena


maine maana garm rayt par na so sakogi

karwatein badal badal ke raat bhar jagogi

yaad aayenge hum aur kabhi madina

ab tera bichona...


be-shikasta hoke bhi guzaarni hai raatein

yaad aayengi hamare baad saari baatein

yun tadap tadap ke ab tujhe hai jeena

ab tera bichona...


zindagi guzaarni hai ab yateem ho kar

jaise hum jiye hai apne baap maa ko kho kar

mere baad jeena seekh lo sakina

ab tera bichona...


haan ye shab to jaag ke guzaar lo magar kal

nanhi nanhi aankhein neand se jo hongi bojhal

kya korogi us dum soch lo hazeena

ab tera bichona...


kal ka din rulayega tumhe bhi aur hame bhi

waqt aazmayega tumhe bhi aur hame bhi

sabr ka ye daaman chodna kabhi na

ab tera bichona...


haan ye shab wohi hai jiske waaste khuda se

maine tumko maanga tha duaon ke sahare

ab ye imtehan hai mai kahun sakina

ab tera bichona...


jis ka raaj hai wafa ki saari kayenat par

pani ke liye usay na bhejna furaat par

warna laut kar wo aayega kabhi na

ab tera bichona...


khaak hai naseeb tera khaak pairahan hai

ab teri rida bhi khaak khaak hi kafan hai

khaak hi may hoga dafn ye nagina

ab tera bichona...


mazhar abidi wo kaisi asr ki ghadi thi

baap ko sakina bekasi se dekhti thi

shaah keh rahe thay alwida sakina

ab tera bichona...