Kanz e Aza

Abbas ka Alam Hai

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi (2022). Lyrics in Roman Urdu.

ooncha rahe ooncha rahe ghazi alam tera

har daur mein ooncha raha ghazi alam tera


chauda sau baras se jhuk na saka

yeh rab ka karam hai

abbas ka alam hai abbas ka alam hai


panja hai jalaale daste khuda

patka iska zainab ki rida

taweez e wafa hai mashkeeza

ye mashk o alam honge na juda

patke par raqam hai

abbas ka alam hai...


sadiyon pe muheet is ka saaya

ye shaan wafa ki keh laaya

hyder ne mohamed se paaya

zainab ki dua zehra ki ataa

pyason ka bharam hai

abbas ka alam hai...


ghar ghar se juloos e gham nikle

taboot ke saath alam nikle

hum karte huwe matam nikle

roke jo julooson ka rasta

ab kis mein ye dum hai

abbas ka alam hai...


go laakh mitana chaaha magar

jaari hai azadari ka safar

har samt alam aate hai nazar

mit paaya nahi jhuk paaya nahi

dunya ko ye gham hai

abbas ka alam hai...


aa dekh zamane dekh zara

ye paak alam ki paak hawa

karti hai ataa deti hai shifa

ghabrana nahi kahin jaana nahi

jo maango wo kam hai

abbas ka alam hai...


hazma ko mila jafar ko mila

phir khyber mein hyder ko mila

hyder se dil e sarwar ko mila

nisbat ka sharaf ya shaahe najaf

kya jaaho hasham hai

abbas ka alam hai...


tareekh e alamdari hai alam

zainab ki azadari hai alam

zehra se wafadari hai alam

deti hai sada ye sheh ki aza

rehbar jo alam hai

abbas ka alam hai...


jab baarwa hyder aayega

haq kya hai pata chal jayega

kaabe pe alam lehrayega

ye manzar haan dekhega jahan

ooncha jo alam hai

abbas ka alam hai...


jab hashr ki dhoop mein pahunchenge

ghazi ka alam jab dekhenge

farhan aur mazhar keh denge

ab roz e qayamat ka hum ko

na darr hai na gham hai

abbas ka alam hai...