pasban e rida ay shehenshahe wafa abbas
sharm o haya ki malka balwe mein berida hai
abbas tu kahan hai
beghairaton ka majma bazaar bhi saja hai
abbas tu kahan hai
shimr e layeen ye bola binte ali se aakar
abbas ko bula le tha tujhko naaz jis par
sadaat sun ke roye fizza ki ye buka hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
napaak zaalimon ne narghe mein shaahzadi
baalon se moo chupa kar zainab ne ye sada di
pathar dilon se chadar sajjad maangta hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
naize pe bhai ka sar roya khule saron par
sajjad pehne langar roya khule saron par
har gaam zulm seh kar har dil pukarta hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
jakde rasan mein qaidi bazaar mein jo aaye
barsa rahe thay pathar ahle damishq haye
in zakhm qaidiyon ka har zakhm poochta hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
tera sau meel ki wo kya sakht thi musaffat
sab choor thay thakan se pahunche jo baabe sa'at
ab qaidiyon ki peshi ek aur marhala hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
lehra ke taziyana haakim pukaara jao
abbas ke behan ko darbar leke aao
zaalim ka hukm sun kar shimre layeen badha hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...
safdar bhi nauhakhwan hai aur mazhar abidi bhi
alfaaz ro rahe hai aur saare matami bhi
zainab ki bekasi par ek misra marsiya hai
abbas tu kahan hai
sharm o haya ki malka...