Kanz e Aza

Abbas Utho Mai

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

abbas utho mai lut'ti hoon


baba ki wasiyat yaad karo

mujh bekas ki imdad karo

chinti hai mere sar se chadar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


kitna gehra sannata hai

wehshat se jigar tharrata hai

is jangal mein mai jaun kidhar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


jangal mein sakina khoyi hai

kya jaane kahan wo soyi hai

dhoondun mai kahan usko jaa kar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


zainab pe ye kaisa waqt aaya

hum khaak pe baithe hai bhaiya

hai qabre paymabar zer o zabar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


mai kab se bulati hoon tum ko

faryad sunati hoon tum ko

aa jao tarayi se uth kar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


aaghosh e imamat ke paale

ay mere rida ke rakhwale

balwe mein khadi hoon nange sar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


dukh dard ke baadal chaate hai

jab shaahe huda yaad aate hai

chalte hai mere dil par khanjar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...


daaman mein koi dilbar bhi nahi

hadh ye hai ali asghar bhi nahi

akbar bi gaye barchi khaa kar

abbas utho mai lut'ti hoon

abbas utho...