Aayi hai chhutke qaid se karbal me Bibiya'n
Abbas ki lahd pa ye Zainab ka hai baya'n
Bhai sunaane aayi hu'nGham ki Main daastaan
Bhayya Teri Bahan ka koi paasbaa'n nahi'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Bhayya har ek qadam pa Hamara tha imtihaan
Baithi thi bekajawa sawari pa Bibiya'n
The pa barehna Abide Beemaro Naatawa'n
Kaanto bhari zami pa chalaate the ahle kee'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Marne se Tere Ham pa anokhi jafa huwi
Chaadar bhi Muh chuphaane ko sar par nahi rahi
Baalon se muh ko dhaamp ke darbaar me gayi
Zulmo sitam ki Ham pa koi inteha nahi'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Bhayya Teri Sakina pa kaisa sitam hua
Izhaare tashnagi pa hua zulme naarwa'n
Paani dikha dikha ke bahaate the ashqiya'n
Bachchi tadap ke reh gayi paani mila nahi
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Zinda'n me zulm seh ke Bhatiji guzar gayi
Sharminda hu'n Sakina ko waapas na laa saki
Aabid se keh rahi thi Sakina ki tashnagi
Madfan ko Mere dekhiye thandi koi zami'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Darbaare Shaam hashr ka maidan ban gaya
Tha takht par yazid idhar Aale Mustafa
Bhai ke khushk honto pa wo zulm tha naya
Jis zulm ke sabab se larazne lagi zami'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Bhayya Mera Shabeehe Payambar nahi'n raha
Shabbar ki jaan Qasim e Bepar nahi'n raha
Veeraan jhoola hogaya Asghar nahi'n raha
Lashkar me baagqi reh gaye bas Aabid e Hazee'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n
Bhayya ye Moosavi bhi Hamara hai Gham gusaar
Hai is ke lab pa naam Tumhara hi baar baar
Aur Karbala ke waaste rehta hai beqarar
Is ko bula lo Raoze pa Zehra ke Naaznee'n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee'n