Kanz e Aza

Arbaeen Dashte Bala

A noha for Arbayeen, written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

arbaeen dashte bala mein hai manana zainab

maa se waada jo kiya tha wo nibhana zainab


muntazir tera hai ek saal se bhaiya zainab

aisa bhai na mila hai na milega zainab

aayi zehra ki sada ay meri dukhiya zainab

arbaeen dashte bala mein...


apni roodad shahe deen se sunana zainab

guzri to tujhpe wo bhai se sunana zainab

neel shaano ka bhi bhai ko dikhana zainab

arbaeen dashte bala mein...


faatah e khyber o khandaq ki dua hai zainab

qalbe zehra ke dhadakne ki sada hai zainab

ro ke bhai se mera gham sunana zainab

arbaeen dashte bala mein...


jhoola khaali ali asghar ka wo jab dekhegi

sughra asghar ko tere godh mein jab dhoondegi

meri jaanib se usay dena dilaasa zainab

arbaeen dashte bala mein...


umme laila ke kaleje ko sambhale rakhna

bewa dulhan ko beher haal dilaasa dena

roye kubra to usay tu hi manana zainab

arbaeen dashte bala mein...


aisa sabir tha wo ek dono jahan mein iqbal

bekasi roti thi sar peet ke tha uska wo haal

qabr bete ka mere tu hi banana zainab

arbaeen dashte bala mein...