Kanz e Aza

Arbaeenul Hussain

A noha for Arbayeen, written by Shahid Baltistani. Lyrics in Roman Urdu.

arbaeen arbaeen arbaeen ul hussain


labbaika yabna zahra labbaika ya hussain

arbaeen arbaeen arbaeen ul hussain


hum jis se zinda hai wo azadari hai

ye azadari to ek zimmedari hai

aur jo zawwaron ki ye khidmat gaari hai

mehdi ke lashkar ki ye bhi tayyari hai

chaahe ye ghar jale chaahe ye sar kate

roke rukega na ye khaafila


arbaeen arbaeen arbaeen ul hussain

labbaika yabna zahra labbaika ya hussain


ye suye karbala paidal jo chalna hai

sajjad o zainab ki ghurbat ka pursa hai

manzar ye baatil ki neendein udaata hai

labbaika ya hussain ka har soo naara hai

ye taziyat hussain teri nusrat hussain

hai ye payaam e aza o wila


arbaeen arbaeen arbaeen ul hussain

labbaika yabna zahra labbaika ya hussain