ho dil mein ishq ki shiddat to la ilaah padho
gira do qalla e beyat to la ilaah padho
ho mishle hurr jo riyazat to la ilaah padho
dil o nazar mein ho ghairat to la ilaah padho
zuban se keh bhi diya la ilaah to kiya haasil
dil o nigaah musalman nahi to kuch bhi nahi
waqt ke yazeed ko barbaad kar diya
hum ko ya hussain ne azaad kar diya
labbaika ya hussain
zindagi hussain hai roshni hussain hai
aagahi hussain hai bandagi hussian hai
sir farosh hoon meri aashiqi hussain hai
hurr ne aisa raasta eejaad kar diya
hum ko ya hussain ne...
aaqilon ke shehr mein zulmaton ke behr mein
saans le rahe hai hum nafraton ke zehr mein
ya hussain aasra zaalimon ke dehr mein
aansuon ko aap ne imdaad kar diya
hum ko ya hussain ne...
daulat kya hai matti hai shohrat kya hai matti hai
jo ho saron per dil par na ho aisi hukumat matti hai
khaake shifa ek tere siwa sab ki haqeeqat matti hai
khaake karbala ne dil aabaad kar diya
hum ko ya hussain ne...
suno suno
kaleja thaam ke roodad e ishq saare suno
bara e nusrat e emaan ek muslim tha
jise bulaya tha mehman ek muslim tha
saja tha kufe ka deewan ek muslim tha
thay baaqi saare musalman ek muslim tha
bula ke kufa usay zaalimon ne chod diya
kiya tha waada jo maula se sab ne tod diya
suna watan mein jo zehra ke pyare bete ne
hussain chod kar madina karbala ko chale
saeed o john zuhair aur osaja bhi jude
kaha ye hurr ne akela tumhe na chodenge
tumhari pyaas pe maula ye jaan de denge
natawan qalb ko faulaad kar diya
hum ko ya hussain ne...
utha ke laashon pe laashe laaya
nabi ka beta hussain tanha
tha tapte sehra mein bhooka pyasa
ghareeb e zahra hussain tanha
jis ne jawan ko marte dekha
qasim ke tukdon ko bhi sameta
nanhe galay se teer nikala
ghazi ko ghode se girte dekha
aun o mohamed ke laashe laaya
ghareeb aisa koi nahi hai
wo jis ne sajde mein sar kataya
kiya tha waada jo wo nibhaya
khuda bhi darvesh phir pukara
salaam hussain salaam hussain