hussain aap ka gham kitna nafsiyati hai
zara si baat bahot dayr tak rulaati hai
hussain aap ki ghurbat bahot rulaati hai
khuda gawah mere dil ko roze ashoora
hussain aap ki ghurbat bahot rulaati hai
kadakti dhoop wo garmi wo pyaas ka ghalba
hussain aap ki ghurbat bahot rulaati hai
musafirat mein ye ghurbat bhi aap ne dekhi
hussain aap ke dil par na jaane kya guzri
bana jab aap ka mehman hurr mere maula
nahi tha aap ke qaime mein boond bhar pani
kareem aap ka mehman reh gaya pyasa
khuda gawah mere dil ko...
bala ke dasht mein ibne hassan ke tukde thay
zameen e garm pe qasim ke tan ke tukde thay
wo jisko aap ne khud baap ban ke paala tha
nazar ke saamne us gulbadan ke tukde thay
uthaya khaak se rote huwe har ek tukda
khuda gawah mere dil ko...
kabhi furaat kabhi arz e nainawa royi
hussain aap ki haalat pe karbala royi
na royi apne dularon ki laash par zainab
magar wo aap ki ghurbat pa jaa ba jaa royi
behen ne aap ki bas aap par kiya girya
khuda gawah mere dil ko...
jigar tha aap ka ay ibne faatahe khyber
akele aap thay kadiyal jawan ke laashe par
jhinjhodti hai bahot aap ki wo tanhaai
uthaya aap ne peeri mein laasha e akbar
nahi tha aap ka pardes mein koi apna
khuda gawah mere dil ko...
dilayr zaigham o jarrar mar gaya ran mein
hussain aap ka ghamkhwar mar gaya ran mein
jo haath aap ki quwwat thay ay mere maula
kate wo haath alamdar mar gaya ran mein
jari ne aap ke zaanu pe apna dam toda
khuda gawah mere dil ko...
salaam aap ki himmat ko sayyed e mazloom
chida hai teer se asghar ka jis ghadi hulqoom
dahaade maar ke roya hai sabr khud us dam
hua jab aap ke haathon pa munqalib masoom
wo be-zaban pisar aur wo teer e seh shoba
khuda gawah mere dil ko...
jisay sukoon bataate thay aap khud apna
wo jisko aap ke seene pe chain milta tha
sakina aap se jis dam juda hui hogi
kaleja aap ka us waqt phat gaya hoga
wo char saal ki bacchi ko chod kar jaana
khuda gawah mere dil ko...
qadam qadam pe rulaya hai shaam waalon ne
musafirat mein sataya hai shaam waalon ne
kahan ye zulm kisi bewatan pe hota hai
jo zulm aap pe dhaaya hai shaam waalon ne
rula rula ke layeeno ne aap ko maara
khuda gawah mere dil ko...
wo bekasi wo musibat wo aalam e ghurbat
paraya des zaeefi wo pyaas ki shiddat
wo dard aap ka kaise raqam kare waiz
bayan ali se na hogi wo aap ki haalat
lahoo ke ashk rulaata hai bas yehi jumla
khuda gawah mere dil ko...