deti thi sada qabr se shabbir ki dukhtar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
mai qaid rahun qaid mein hai mera muqaddar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
ay phupi meri rida karbobala le jaana
dhoop mein tha mere mazloom padar ka laasha
laashe pe udha dena meri nanhi si chadar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
karbala jaana to baba se batla dena
roye na mere liye wo unhe samjha dena
keh dena sataate nahi ab mujhko sitamgar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
kehna baba se ke ek pal bhi nahi soyi mai
aap jis din se gaye shaam o sehar royi mai
ab jaa ke mujhe chain mila qabr ke andar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
bhaiya akbar jo mile kehna ye mere kalemaat
poochne aaye na ek din bhi behan ke haalaat
keh dena behan baandhi gayi rassi mein kas kar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
karbala mein jo mera asghar e masoom milay
godh mein lena usay aur laga lena galay
moo choomna bhaiya ka meri simt se jaa kar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
nehr pa jaa ke chacha jaan se keh dena salaam
kehna aada ke sitam seh na saki tishna kaam
keh dena ke wo mar gayi zindan mein ghut kar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
mere ammu ko dikhana mere dono bunde
eid ke din jo bade pyar se pehnaye thay
keh dena lawein cheer ke cheene gaye gohar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
kehna ammu se sakina ko ye maloom na tha
pani maangungi to lut jayegi meri dunya
kat jayenge baazu mere ammu ke nehr par
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
ay phupi aaye nazar shehr e madina jis dam
kehna leti thi tera naam sakina har dam
qismat mein nahi tha ki aaye wo muztar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
jis ghadi pahunchega yasrab mein ye ujda kunba
poochne aayegi mujhko meri pyari sughra
rona meri behna ko kaleje se laga kar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...
reh gayi qaid e sitamgar mein wo dukihya waiz
goonjta reh gaya zindan mein ye nauha waiz
mai qaid rahun qaid mein hai mera muqaddar
jao ay phupi jaan khuda hafiz o nasir
deti thi sada...