kaata gaya hussain ka maqtal mein jab gala
bas kuch hi faasle se behan dekhti rahi
sar tan se ho raha tha baradar ka jab juda
bas kuch hi faasle se behan dekhti rahi
ghera tha zaalimon ne shah e mashraqain ko
zainab bachane paayi na apne hussain ko
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
bekas behan tadapti rahi kuch na bas chala
kaata gaya hussain ka...
khanjar talay hussain ki gardan ko dekh kar
ay bhai keh ke girti thi dukhiya zameen par
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
wo waqt ek behan pe qayamat ka waqt tha
kaata gaya hussain ka...
pyari behan hussain ki sar peet'ti rahi
sookhe galay pe bhai ke chalti rahi churi
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
zanjeer bekasi ne kasi thi kuch is tarha
kaata gaya hussain ka...
pardes mein ali ki dulaari thi beqarar
roti thi zaar zaar tadapti thi baar baar
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
har simt se hussain pe hoti rahi jafa
kaata gaya hussain ka...
narghe mein zaalimon ke thi beti batool ki
kuch bhi na karne paayi nawasi rasool ki
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
bhai ka sar nigahon ke aage hi kat gaya
kaata gaya hussain ka...
seene pe jab hussain ke shimre layeen chada
zainab ne sar ko peet ke darya ka rukh kiya
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
us waqt thar tharane lagi arze karbala
kaata gaya hussain ka...
zainab pe karbala mein jo kohe alam gira
toote na wo pahaad kisi pe bhi ay khuda
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
bhai ko qatl karta raha shimre behaya
kaata gaya hussain ka...
waiz na likh sakega kabhi bhi wo gham koi
zainab ke dil pe taygh jo ashoor ko chali
suye darya mud kar dekhti thi zainab
apne ghazi ko sada de rahi thi zainab
bhai ka khoon khaak mein milta chala gaya
kaata gaya hussain ka...